You are currently viewing 400+Broken Heart Shayari in English Dil Todne Wali Tuta Dil Poetry

400+Broken Heart Shayari in English Dil Todne Wali Tuta Dil Poetry

Sometimes, words speak louder than tears, and Broken Heart Shayari in English gives those feelings a real inner voice. If you are feeling alone and sad and hurt by someone you love, these lines can express the pain you can’t say out loud. From Dil Todne Wali Shayari to Sad Broken Heart Shayari, each line speaks to your true emotions. This post also includes Broken Heart Shayari in Hindi and Inside Broken Heart Shayari in English, so you can feel every word deeply.

Whether you’re looking for Broken Heart Tota Dil Quotes or the perfect Heart Broken Shayari Status, our collection of Broken Heart Shayari in English says it all with heartfelt simplicity. We often ignore by our loved ones so, you can share these words with them to tell them how truely you are missing them.

Broken Shayari in English

Dil tootne se thodi si takleef to hui beshak,
Lekin ab tamam umr ko aaraam ho gaya.

Tum keh kar dekho teri sun le shayad,
Dil to mera hai magar meri maanta nahin.

Us se behtar kahan milega ghar,
Aap dil mein mere raha kijiye.

Insani dil se sakht aur zaalim koi shay nahi,
Yeh tab bhi dhadakta hai jab ise mar jana chahiye.

Ab thaan liya hai nahi denge kisi ko dil apna,
Log to dil se khelte hain khilona samajh ke.

Kar li na tasalli dil tod kar,
Maine kaha tha is mein kuch nahi tere siwa.

Chai mein daal ke taiz cheeni,
Aaj bhi tere lehje ki mithaas dhoondhta hoon.

Kisi ko dil dukhane wali baat mat kaho,
Waqt guzar jata hai par baatein yaad reh jaati hain.

Sheesha toota sab ne dekha,
Dil kis ka toota kis tarah toota ye kisi ne na dekha.

Ameer woh hai jiske dil mein,
Doosron ke liye ehsas hai.

Teri qurbat bhi qayamat, teri doori bhi azaab,
Dil ko taskeen ki surat kisi pehlu na mili.

Faisla kar liya hai mere dil ne,
Mujhe bas tumhare dil mein hi rehna hai.

Yun jalaate ho jaise sawab milta ho,
Dil hai mera kisi darbaar ka chiraag nahin.

Dil ke kuch apne masail the, ana ke apne,
Hum tere khwab se katra ke palat aaye hain.

Dilon ke khel jo khelo to ye baat bhool mat jana,
Khel khel mein aksar khilone toot jaate hain.

Dil lagi na ho jaaye kisi se ye khayaal karna,
Din to guzar jaate hain, Khuda ki qasam raatein maar deti hain.

Jis ko bhi chaho dil se chaahna,
Agar chahat sacchi hui to woh tumhari.

Broken Heart Shayari in Roman English Text

Broken Heart Shayari in Roman English Text

Dil to kisi aur hi des ka parinda hai meri jan
Seene mein to rehta hai magar bas mein nahi rehta

Jo bas jaate hain dil mein dhadkan ban kar
Dil phir un se kabhi bharta nahi

Toot kar bhi dhadakta rehta hai
Dil sa koi wafadar nahi dekha

Tumhi ne majboor kiya tha humein
Warna yeh dil kisi ko na detay hum

Iqraar hai ke dil se tumhe chahte hain hum
Kuch is gunaah ki bhi saza hai tumhare paas

Insaan ke andar aik hi dil hota hai
Jo ek baar de diya to phir sacha pyaar nahi hota

Pata nahi is umar mein dil kaise toot gaya
Mere to abhi mitti ke khilone bhi salamat hain

Sirf aik baar dastak do hamare dil ke band darwazon par
Phir andar anay ka iraada hum aap pe chhor denge

Jab hum mar jaayein to hamara dil nahi dena
Kyunkay hum nahi chahte ke hamare baad woh khelna chhod de

So jata hai har koi apne kal ke liye
Par koi yeh nahi sochta ke aaj jis ka dil dukhaya woh soya hoga ya nahi

Dil kata ja raha hai
Seena phata ja raha hai
Jis pe daali thi mohabbat ki nazar, woh nazar hata kar ja raha hai

Hum jaise logon ka jeena kya, marna kya
Aey dost, aaj tere dil se niklay kal duniya se nikal jaayenge 💔😓

Nishaan phir bhi reh jaata hai
Toot ke jud jaana itna aasan nahi hota

Ashk seene mein utar jaayein to kuch khauf nahi
Dil jab aankhon mein dhadakta hai to darr lagta hai

Shayari for Broken Heart in English

Dil se nikaal dijiye ehsaas-e-aarzoo
Mar jaaiye par kisi ki tamanna na kijiye

Dil ke rishtey bade ajeeb hotay hain
Sabse zyada woh hi roya jis ne nibhaaya tha sachai se

Ek dil ka dard tha jo raha zindagi ke saath
Ek dil ka sukoon tha jo sada hum dhoondhte rahe

Ae dil-e-naadaan tu ne agar meri baat maani hoti
Aaj har lab par na yun meri kahani hoti

Kuch keh rahi hain aap ke seene ki dhadkanein
Meri suno to dil ka kaha maan jaaiye 🌸🔥

Nikaal daaliye dil se hamari yaadon ko
Yaqeen kijiye hum mein woh baat hi na rahi

Maine dil ko mana liya
Ab yeh tere baghair bhi dhadkega

Na jaane woh patthar kahaan se milta hai
Jise log dil par rakh kar sab kuch bhool jaate hain

Patthar sa dil le aao
Mujhe insaanon mein basna hai

Hassaas dilon ko todne ke liye zarurat nahi pattharon ki
Yeh dil to bikhar jaate hain sirf lafzon ki chot se

Mujhe bhi aate hain andaaz dil todne ke
Har dil mein Khuda basta hai, yeh soch ke chup hoon

Dilon se khelne ka fun mujhe bhi khoob aata hai
Lekin jismein dil toote woh khel hum khela nahi karte

Ho taalluq to rooh se ho
Dil to aksar bhar jaate hain

Woh jinhein humne soonpi thi dil ki dhadkanein
Woh apna ek pal dene pe hazaar baar sochte hain

Dil Tuta Shayari

Mere labon ka tabassum to sab ne dekh liya
Jo dil pe beet rahi hai woh koi kya jaane

Kuch dil ki majbooriyan thein, kuch kismet ke maare the
Saath woh bhi chhod gaye jo jaan se pyaare the

Suna hai unke narm haathon se phisal jaati hain cheezen aksar
Mera dil 💖 laga hai haath unke, Khuda khair kare

Kabhi rakh liya, kabhi chhod diya, saheb
Yeh hamara dil hai, koi kiraye ka makaan nahi

Dil ki veerani ka kya tazkira karun
Yeh ek baar nahi, hazaar baar toda gaya hai

Ujray hue dil ko aabaad karne ki zid na kar ae zindagi
Jala diya humne woh dil jisme matlab ke log basa karte the

Har ibaadat ki qaza hai lekin
Insaan ka dil toadne ki qaza nahi

Hum jaise logon ka jeena kya, marna kya
Aaj tere dil se nikle, kal duniya se nikal jaayenge

Kaafi seenon mein sirf patthar hain
Khush naseebi hai dil ka dil hona

Ab to bikhra sa pada hai mere seene mein
Haaye woh dil ke tujhe toot ke chaaha jisne

Dil mein kis kis ko jagah dein saheb
Gham rakhein, dam rakhein, faryaad rakhein ya teri yaad rakhein?

Tu mere dil pe haath to rakh…
Main tere haath pe 💖dil na rakh doon to phir kehna

Chot pe chot di mujhe, dil ko patthar kar diya
Ab poochhte hain ke tum muskurati kyun nahi

Alfaaz mein kahaan aati hai kaifiyat dil ki 
Mehsoos jo hota hai, bataya nahi jaata.

Deep Sad Heart Broken Shayari​

Deep Sad Heart Broken Shayari​
Broken Heart Shayari in English

Zara si ranjish pe na chhodo wafa ka daaman,
Umrein beet jaati hain dil ka rishta banane mein.

Maine haq diya hai tumhein dil lagi ka,
Mere dil se khelna jab tak dil na behal jaaye.

Main kyun us se kahun ke baat kar le mujh se
Kya usay pata nahi ke mera dil nahi lagta us ke baghair

Saath jab tum nibha nahi paate
Kya zarurat thi dil laganay ki

Dil to kisi aur hi des ka parinda hai
Seene mein to rehta hai magar bas mein nahi rehta

Dil mein woh bohat se raaston se aaya tha
Jab janay ka rasta na mila to dil tor kar chala gaya

Log dekhein ge to afsana bana daalein ge
Yoon dil mein chale aao ke aahat bhi na ho

Maine kaha bhi tha ke yahan se nikal chalein
Ae dil tere lehaaz mein maara gaya hoon main

Har baat jaante hue bhi dil maanta na tha
Hum jaane aitbaar ke kis marhalay mein thay

Hamari adaayein jo dekho to zara dil ko sambhaal ke rakhna
Hum bas ishaaron mein hi dil par chhaa jaate hain

Ek chahat hoti hai apno ke saath jeene ki
Warna pata to sab ko hai marna to akelay hi hai

Ab nahi rakhte hum kisi se shauq-e-ulfat
Be-reham log hain, dil tod dete hain

True Love Shayari in English for Broken Heart

True Love Shayari in English for Broken Heart
Broken Heart Shayari in English Text

Roshan hue veeraane, khush ho gayi duniya bhi,
Kuch hum bhi sukoon mein hain ghar apna jalaane se.

Rusvaai to waise bhi taqdeer thi aashiq ki,
Zillat bhi mili humein ulfat ke fasaane se.

Aaj jin jheelon ka bas kaaghaz mein naqsha reh gaya,
Main un aankhon se muddat tak behta reh gaya.

Main usse na-qabil-e-bardaasht samjha tha magar,
Woh mere dil mein raha aur achha khaasa reh gaya.

Jo aadhe the tujhe mil kar mukammal ho gaye,
Jo mukammal tha woh tere gham mein aadha reh gaya.

Jism ki chaadar pe raatein phelti to thi magar,
Mere kaandhe par tera bosa adhoora reh gaya.

Woh tabassum ka tabarruk baant’ta tha aur main,
Cheekhta tha aye sakhi mera hissa reh gaya.

Aaj ka din saal ka sabse bada din tha to phir,
Jo tere pehlu mein leta tha woh achha reh gaya.

Achhi surat pe ghazab toot ke aana dil ka,
Yaad aata hai humein haaye zamaana dil ka.

Tum bhi munh choom lo besakhta pyaar aa jaaye,
Main sunaaoon jo kabhi dil se fasaana dil ka.

In haseenon ka ladakpan hi rahe ya Allah,
Hosh aata hai to aata hai satana dil ka.

Meri aaghosh se kya hi woh tadap kar nikle,
Unka jaana tha ilahi ke yeh jaana dil ka.

Hoor ki shakal ho tum, noor ke putle ho tum,
Aur us par tumhein aata hai jalaana dil ka.

Chhod kar usko teri bazm se kyun kar jaaoon,
Ek janaaze ka uthaana hai, uthaana dil ka.

Be-dili ka jo kaha haal to farmate hain,
Kar liya to ne kahin aur thikaana dil ka.

Dil Todne Wali Shayari

Zara bhi nahi pighlta dil tera
Itna qeemti patthar kahaan se khareeda?

Hamara dil khareedna chahte ho to munasib qeemat bataate hain
Aankhein uthaaiye, halka muskuraaiye dil le jaaiye

Dil ki takleef kam nahi karte
Ab koi shikwa hum nahi karte

Khuda ki qasam badi mushkil se milta hai
Woh ek dil jo mohabbat nibhaane wala ho

Aashiyaana banaayein bhi to kahaan banaayein
Zameen mehngi hai aur dil mein log jagah nahi dete

Bohat mushkil hai har chehre se dil ka raaz padh lena
Ke jin logon ke dil toote hoon woh pehchaane nahi jaate

Gila banta hi nahi be-rukhi ka
Dil hi to tha, so bhar gaya hoga

Dil ko samajh kar lakri aag laga gaya ek shakhs
Ab poochhta hai maajra dil sulagne ka!

Dil mein kis kis ko jagah dein
Gham rakhein, dam rakhein, faryaad rakhein ya teri yaad rakhein?

Main sab ka dil rakhta hoon
Par suno, main bhi ek dil rakhta hoon

Dard usi ko hota hai
Jiske paas dil hota hai

Maine mehsoos kiya hai ke dil ke dukhne se
Chehre ki rangat badal jaati hai

Dil uska bhi tha, dil mera bhi tha
Fark sirf itna tha — woh patthar tha, yeh sheesha tha

Tum ne dhadkan ka naam to suna hoga ae dost
Hum ne tumhein isi naam se dil mein basa rakha hai

Ae dil maaf kar mujhe
Teri qadr nahi ki — jisey apna samjha usi ne tod diya tujhe

Famous Heart Touching Broken Shayari in English Hindi

Shaam ke saaye baalishton se naapey hain,
Chaand ne kitni der laga di aane mein.

Raat guzarte shayad thoda waqt lage,
Dhoop andhelo thodi si paimaane mein.

Jaane kis ka zikr hai is afsaane mein,
Dard maze leta hai jo dohraane mein.

Dil par dastak dene kaun aa nikla hai,
Kis ki aahat sunta hoon veeraane mein.

Hum us mod se uth kar agle mod chale,
Unko shayad umr lagegi aane mein.

Jo tere husn pe marte hain bohot se honge,
Par tere dil ka talabgaar koi aur hai naa.

Tu mere ashk na dekh aur sirf itna bata,
Main nahin hoon tera dildaar koi aur hai naa.

Is liye bhi tujhe duniya se alag chahta hoon,
Tu koi aur hai, sansaar koi aur hai naa.

Main ne tasveer phenk di hai magar,
Keel deewar mein gari hui hai.

Zara si der jale jalkar raakh ho jaaye,
Woh roshni de bhale jalkar raakh ho jaaye.

Woh aaftab jise sab salaam karte hain,
Jo waqt par na dhale jalkar raakh ho jaaye.

Main door jaa ke kahin bansuri bajaoonga,
Bhala se Rome jale jalkar raakh ho jaaye.

Woh ek lams-e-gurezan hai aatish be-soz,
Mujhe lagaaye gale jalkar raakh ho jaaye.

Koi chiraag bache subah tak to taariki,
Ussi chiraag tale jalkar raakh ho jaaye.

Meri aankhen dhuwan dhuwan si,
Aur dil bhi hai toota toota sa.

Aahaat pe har dafa gumaan guzra uska,
Kadam kadam par uski mohabbat ne jhakda mujhe.

Dil abhi toota na tha ke sawaal uth gaye,
Aur kuch ajeeb hi baawaal uth gaye.

Jo khushbu thi kabhi yaadon ki, ab hawa ho gayi,
Jo chaahat thi kabhi, bewafa ho gayi.

Dil Todne Wali Shayari

Aap ki yaad aati rahi raat bhar muje
Chaandni dil dukhati rahi raat bhar

Butkhaana toṛ dijiye, masjid ko dhaaiye
Dil ko na toṛiye, yeh Khuda ka maqaam hai

Abhi raah mein kai mod hain, koi aaye ga koi jaaye ga
Jis ne dil se tum ko bhula diya, usko bhoolne ki dua karo

Ishq ki chot ka kuch dil pe asar ho to sahi
Dard kam ho ya zyada ho magar ho to sahi

Mera Dil t udaas hai “Bekhud”
Ab kisi par fida nahi hota

Dil mein udasi hai “Nasir”
Sheher kyun saayein saayein karta hai

Mire Dil mein agar himmat na ho to mohabbat nahi milti
Khairaat mein itni badi daulat nahi milti

Ek ishq ka gham aafat, aur us pe yeh dil aafat
Ya gham na diya hota, ya dil na diya hota

Na doon ga dil usey, main yeh hamesha kehta tha
Woh aaj le hi gaya, aur “Zafar” se kuch na hua

Dil sulagta hai tere sard rawaiye se mera
Dekh ab baraf ne kya aag laga rakhi hai

Ae junoon phir mere sar par wohi shamat aayi
Phir phansa zulf mein dil, phir wohi aafat aayi

Dard-e-dil kitna pasand aaya use
Maine jab ki aah, usne “wah” ki

Jo dil rakhte hain seene mein, woh kaafir ho nahi sakte
Mohabbat deen hoti hai, wafa imaan hoti hai

Dil sarapa dard tha, woh ibtida-e-ishq thi
Intiha yeh hai ke “Fani” dard ab dil ho gaya

Broken Heart Shayari in Hindi English

Dil ki taraf “Shakeel” tawajju zaroor ho
Yeh ghar ujarr gaya to basaya na jaaye ga

Yeh jab hai ke ek khwab se rishta hai hamara
Din dhalte hi dil doobne lagta hai hamara

Dil-e-marhoom ko Khuda bakhshe
Ek hi gham-gusaar tha, na raha

Dil gaya, raunaq-e-hayaat gayi
Gham gaya, saari kaayenaat gayi

Darta hoon dekh kar dil-e-bearzoo ko main
Sunsaan ghar yeh kyun na ho, mehmaan to gaya

Mohabbat mein ek aisa waqt bhi dil par guzarta hai
Ke aansoo khushk ho jaate hain, tugyaani nahi jaati

Dil jo toota to yaad aaya humein,
Cheez yeh kitni dekh bhaal ki thi.

Tabsara itna hi kaafi hai mohabbat ke liye,
Mukhtasir sauda tha, nuksaan bohot bada tha.

Majrooh kar ke ab haal-e-dil poochhoge,
Khoj karoge to khud ko na-qabil-e-maafi paoge.

Shagaaf de kar ab zakham par namak mat chhidko,
Apni bewafai par khud hi sharminda ho jaoge.

Na aaya karo meri ayadat karne ko,
Jab tak aankhon mein aankhon daal na sako.

Haazir ho jaana meri adaalat ke katehre mein,
Jab khauf na rahe aitraf-e-jurm karne mein.

Itna to hua aye dil ek shakhs ke jaane se,
Bichhde huye mil gaye kuch dost puraane se.

Ab mera safar tanha, ab uski juda manzil,
Poochho na pata uska tum mere thikaane se.

Sad Broken Heart Shayari

Sad Broken Heart Shayari

Behtar to hai yehi ke na duniya se dil lage
Par kya karein jo kaam na bedili chale

Dil pe kuch aur guzarti hai magar kya keeje
Lafz kuch aur hi izhaar kiye jaate hain

Kis kis tarah ki dil mein guzarti hain hasratein
Hai wasl se zyada maza intezaar ka

Mere labon ka tabassum to sab ne dekh liya
Jo dil pe beet rahi hai, woh koi kya jaane

Hoti kahan hai dil se juda dil ki aarzoo
Jaata kahan hai shama ko parwana chhoṛ kar

Dekh lete jo mere dil ki pareshani ko
Aap baithe hue zulfain na sanwaara karte

Na woh surat dikhaate hain, na milte hain gale aakar
Na aankhen shaad hoti hain, na dil masroor hota hai

Dil par chot padi hai tab to aah labon tak aayi hai
Yun hi chhan se bol uthna to sheeshe ka dastoor nahi

Aarzoo-e-wasl ki rakhti hai pareshan kya kya
Kya bataaun ke mere dil mein hai armaan kya kya

Tu kahin ho, dil-e-deewana wahan pahunche ga
Shama hogi jahan, parwana wahan pahunche ga

Mujh ko na dil pasand, na woh bewafa pasand
Dono hain khudgarz, mujhe dono hain naapasand

Dost ahbaab se lene na sahare jaana
Dil jo ghabraaye, samandar ke kinaare jaana

Tez hai aaj dard-e-dil saaqi
Talkhi-e-mai ko tez-tar kar de

Dil mein woh bheed hai ke zara bhi nahi jagah
Aap aaiye magar koi armaan nikaal ke

Dil ko Khuda ki yaad tale bhi daba chuka
Kambakht phir bhi chain na paaye to kya karun

Inside Broken Heart Shayari in English

Tere gham ko bhi kuch behla raha hoon,
Jahaan ko bhi samajhta ja raha hoon.

Yaqeen yeh hai haqeeqat khul rahi hai,
Gumaan yeh hai ke dhokhe kha raha hoon.

Agar mumkin ho le le apni aahat,
Khabar do Hasan ko main aa raha hoon.

Hadein husn o mohabbat ki mila kar,
Qayamat par qayamat dha raha hoon.

Khabar hai tujh ko aye zabt-e-mohabbat,
Tere haathon mein lut’ta ja raha hoon.

Asar bhi le raha hoon teri chup ka,
Tujhe qaa’il bhi karta ja raha hoon.

wo chehry ko dekh k muskura rahy
ab Dil jo tata hy andr se us ka kia

Bharam tere sitam ka khul chuka hai,
Main tujh se aaj kyun sharma raha hoon.

Inhi mein raaz hain gulbaariyon ke,
Main jo chingaariyan barsa raha hoon.

Jo un masoom aankhon ne diye the,
Woh dhokhe aaj tak main kha raha hoon.

Tere pehlu mein kyun hota hai mehsoos,
Ke tujh se door hota ja raha hoon.

Had-e-jor o karam se badh chala Hasan,
Nigah-e-yaar ko yaad aa raha hoon.

Jo uljhi thi kabhi Aadam ke haathon,
Woh guthhi aaj tak suljha raha hoon.

Mohabbat ab mohabbat ho chuki hai,
Tujhe kuch bhoolta sa ja raha hoon.

Ajal bhi jin ko sun kar jhoomti hai,
Woh naghme zindagi ke gaa raha hoon.

Yeh sanaata hai mere paon ki chaap,
Firaaq apni kuch aahat paa raha hoon.

Broken Heart Tota Dil Quotes

  1. “Zakhm woh jagah hoti hai jahan se roshni andar aati hai.”
  2. “Dil ko tootne ke liye hi banaya gaya hai.”
  3. “Gham na karo, jo cheez kho jati hai woh kisi aur shakal mein wapas aati hai.”
  4. “Apne dil ke unsuljhe sawalon ke sath sabr karo.”
  5. “Gham waqt ke paron par udd jata hai.”
  6. “Jism ke liye jo sabun hai, wohi rooh ke liye aansu hain.”
  7. “Woh gham sab se zyada dardnaak hota hai jo bayan bhi na ho sake.”
  8. “Rona gham ki gehraai ko kam karne ka zariya hai.”
  9. “Aansu dimaag se nahi, dil se nikalte hain.”
  10. “Jo gham aansuon mein behr nahi sakta, woh jism ke doosre hisson ko rulata hai.”
  11. “Judai ka dard us khushi ke samne kuch bhi nahi jo dobara milne mein hoti hai.”
  12. “Mohabbat kabhi zaya nahi jaati, agar wapas na bhi mile to dil ko narm aur paak kar deti hai.”
  13. “Sab se tez mohabbat ka anjaam sab se thanda hota hai.”
  14. “Har dil ke andar kuch chhupe hue dukh hote hain.”
  15. “Rukhsat hona ek meetha sa gham hota hai.”
  16. “Jab mohabbat khatam ho jaye, to dard zaroor chhoot jata hai.”
  17. “Sab se andheri raat bhi khatam hoti hai, aur suraj zaroor nikalta hai.”
  18. “Waqt un zakhmon ko bhi bhar deta hai jo aqal nahi bhar sakti.”
  19. “Jahan mohabbat hoti hai, wahan dard bhi hota hai.”
  20. “Jo rooh khoobsurti ko dekh sakti hai, aksar tanha chalti hai.”

Heart Broken Shayari Status

Baad muddat ke yeh aye Daagh samajh mein aaya,
Wohi daana hai jo na maane fasaana dil ka.

Yeh kab kehti hoon tum mere gale ka haar ho jaao,
Wahin se laut jaana jahan bezar ho jaao.

Mulaqaton mein waqfa is liye zaroori hai,
Ke tum ek din judaai ke liye tayar ho jaao.

Bohat jaldi samajh mein aane lagte ho zamaane ko,
Bohat aasan ho thode bohot dushwaar ho jaao.

Bula ki dhoop se aayi hoon mera haal to dekho,
Bas ab aisa karo tum saaya-e-deewar ho jaao.

Abhi padhne ke din hain likh bhi lena haal-e-dil apna,
Magar likhna tabhi jab laayak-e-izhaar ho jaao.

Main ne jo kuch bhi socha hai woh main waqt aane par kar jaaunga,
Tum mujhe zeher lagte ho aur main kisi din tumhein pi kar mar jaaunga.

Qisse meri ulfat ke jo marqoom hain saare,
Aa dekh tere naam se mausoom hain saare.

Bas is liye har kaam adhoora hi pada hai,
Khaadim bhi meri qoum ke makhdoom hain saare.

Ab kaun mere paon ki zanjeer ko khole,
Haakim meri basti ke bhi mahkoom hain saare.

Shayad yeh zarf hai jo khamosh hoon ab tak,
Warna to tere aib bhi maloom hain saare.

Har jurm meri zaat se mansoob hai,
Kya mere siwa sheher mein masoom hain saare.

Sitaron se ulajhta ja raha hoon,
Shab-e-firaqat bohot ghabra raha hoon.

Jawad Khan

I’m Jawad Khan, the creator and author of Shayaritou. I’ve always had a deep love for words and emotions, and through poetry, I aim to express the feelings we all experience but sometimes can't put into words. My work focuses on themes of love, loss, loneliness, and the beauty of simple emotions. Through my writing, I hope to connect with people, offering comfort and understanding to those who may feel alone or misunderstood.

Leave a Reply