You are currently viewing Bhai Ke Liye Shayari In English – Top 60+ Brother Shayari
Bhai ke Liye Shayari in english

Bhai Ke Liye Shayari In English – Top 60+ Brother Shayari

A brother is not just a friend but a pillar of support, always standing together through good times and bad. Bhai ke liye shayari in English expresses the deep love, respect, and special bond shared between brothers and sisters. Brother shayari in English beautifully captures emotions like love, trust, and the unique connection that only siblings can understand.

In this blog post, we have curated the best two-line shayari (bhai ke liye shayari) about the importance of a brother’s presence in life — how they bring happiness and strength, and how their love is different from any other. The collection also highlights the love shared with sisters and family.

Bhai Ke Liye Shayari In English​ - Top 60+ Brother Shayari
Bhai ke Liye Shayari in english

Dil ke pyaar ko kabhi jataya nahi
Bhai tu meri jaan hai tujhko kabhi bataya nahi

Saath rehta hai jo har waqt, door ek pal ko bhi na hota hai,
woh dost sirf dost nahin, balki ek bhai hota hai.

Dil ke jazbaat aur bade ho jaate hain
Jab musibat ke samay bhai saath khade ho jaate hain.

Is baat se bhale hi saari duniya jale
Mere hisse ki khushiyaan bhi bhai tujhe mile.

Bhai ke jaisa pyaar na hum kisi se kar sakte hain
Na humein koi kar sakta hai.

Jab bhai-bhai mein prem pakki hoti hai
To ghar ki badi hi tarakki hoti hai.

Duniya mein sab cheez mil jaati hai,
Par bhai wala pyaar nahi milta hai.

Bhai Ke Liye Shayari In English​

brother poetry in english

Bhaiya tum mere woh dost ho, jisse main lad to sakta hoon
Magar kabhi bichhad nahi sakta.

Har janm mein mile bhai tere jaisa
Ya phir zindagi hi na mile.

Zindagi mein itna bhi ameer mat ho jana,
Ki tum dil se bhai ko bhool jao.

Tum status ki baat karte ho,
Hamare to bhai bhi kamaal karte hain

Jiske hone se main khud ko mukammal maanta hoon,
Main khuda se pehle bhai ko jaanta hoon

Tum ab mujhse zyada lambe ho
Lekin phir bhi tum mere liye chhote bhai ho
Love you chhote bhai.

Jo bhai jitna tumhe gaali dega,
Woh utna hi pakke wala dost hoga.

2 Lines Bhai Shayari in English

Jaise dono aankh ek saath hote hain,
Waise hi bhai-bhai ke rishte bhi khaas hote hain

Dil mein pyaar aur hothoon par kadve bol hote hain
Dukh mein saath dene wale bhai anmol hote hain.

Bhai tum apne attitude ka aisa andaaz rakho
Jo tumhe na samjhe use nazar andaaz karo.

Waqt nahi hoga phir bhi nikaal lenge
Rakhi bandhwane tere dar par zaroor aayenge.

Jab bhi toot-ta hoon to sahare nahi umeed deta hai
Woh mera bhai hai jo har baat par nai seekh deta hai.

Ghar mein dhan, daulat, heere, jawaharat sab aaye,
Lekin jab ghar mein bhai aayi tab khushiyan aayi.

Jalte hain dushman mujhse,
Kyoki mere dost mujhe dost nahi, bhai maante hain.

Brother and Sister Shayari

Kya hua jo tu teri maa ki laadli hai
Hum bhi apne bhai ke sahjade hain.

Bhai-behan ke rishte bade hote hain,
Kyoki ye dil se jude hote hain.

Behan ka angarakshak hota hai bhai
In dono ka rishta adhoora hai bin ladai.

Mera bhai mera yaar hai, aur jiske paas sachha yaar hai
Uske paas saara sansaar hai.

Har pal karta tujhse ladta hoon par pyaar bhi karta hoon
Kyunki pagle main tera bhai hoon

Ai Allah meri duaein jab bhi qubool ho
Mere bhai ke chehre par hamesha muskurahat rahe.

Duniya ki har khushi tujhe dilaaunga main
Apne bhai hone ka har kartavya nibhaaunga main.

Apni style ko dekhkar sabki jalti hai
Kyunki is shahar mein sirf tere bhai ki chalti hai.

Musibaton ne mujhe kaale baadal ki tarah gher liya,
Jab koi raah nazar nahi aayi to bhai yaad aaya.

Bade Bhai Ke Liye Shayari

Bade Bhai Ke Liye Shayari

Dost aate hain aur chale jaate hain
Lekin mere pyaare bhai hamesha mere saath hain.

Bada bhai baap jaisa hota hai,
Aur chhota bhai dost jaisa hota hai.

Dushman ho kitne bhi paapi,
Uske liye sirf hum do bhai hi kaafi.

Sapne to bas man ko shanti dete hain,
Baaki kismat to bade bahi se hi badli jaati hai.

Tere bhai ke haathon ki lakeerein bahut khaas hain,
Tabhi to tum jaisa dost humare paas hain.

Jab pyaar zyada ho to nafrat mein badal jaata hai,
Isiliye bhai-bhai ka dushman ho jaata hai

Tujhe dekhne wale to lakho hain lekin,
Mere bhai jo karodo mein ek hai, unke saamne teri koi aukaat nahi.

Tujhse hi judi meri zindagi hai
Aur tujhse hi judi meri pehchaan
I love you bade bhai jaan

Tere bhai ke haathon ki lakeerein bahut khaas hain
Tabhi to tum jaisa dost humare paas hai.

Tere bhai ke charche ab har ek ki zubaan par honge,
Jo aaj humein dekhkar hanste hain, kal woh humare gulaam honge.

Happy Birthday Shayari for Brother

Bhai mere, tera janamdin aaya,
Khushiyon se tera jeevan chhaya.

Kabhi-kabhi ek bhai hona
ek superhero hone se bhi behtar hota hai.
Happy birthday dear brother.

Bhai ka janamdin hai aaj, hai bahut khaas,
Har pal mile tujhe khushiyon ka saath.

Yu to hazaaron log mil jaayenge,
Lekin haath pakadkar chalna sikhane wala bhai, bina naseeb nahi milta.

Teri zindagi mein aaye naye rang,
Har din ho tera khushiyon ka sang.

Conclusion

A brother’s love is truly special and unlike any other. Through these beautiful shayari, we can feel the strong bond, trust, and support that brothers bring into our lives. Whether it’s standing by us in tough times or sharing happy moments, a brother’s presence makes life richer and more meaningful. We hope these bhai ke liye shayari in English (brother shayari) help you express your feelings and celebrate the amazing relationship you share with your brother and family.

Jawad Khan

I’m Jawad Khan, the creator and author of Shayaritou. I’ve always had a deep love for words and emotions, and through poetry, I aim to express the feelings we all experience but sometimes can't put into words. My work focuses on themes of love, loss, loneliness, and the beauty of simple emotions. Through my writing, I hope to connect with people, offering comfort and understanding to those who may feel alone or misunderstood.

Leave a Reply