You are currently viewing Best 2 Lines Motivational Shayari In English – Kamyabi Shayari
Best Motivational Shayari In English

Best 2 Lines Motivational Shayari In English – Kamyabi Shayari

Motivational Shayari has a special way of inspiring and encouraging us in difficult times. These motivational quotes and two lines shayari express strong emotions, hopes, and dreams, helping us to stay positive and focused. Whether it is about never giving up, believing in yourself, or facing challenges bravely, motivational Shayari in English connects deeply with our hearts. It reminds us that even when the past cannot be changed, the present and future are still in our hands.

This collection of best motivational Shayari in English includes powerful lines that teach us about success, courage, persistence, and hope. From famous poets like Rahat Indori to timeless wisdom in words, these Shayari motivate us to keep moving forward. They encourage us to work hard, trust ourselves, and face life’s difficulties with confidence. Reading these Shayari can give anyone the strength to overcome obstacles and achieve their dreams.

Best 2 Lines Motivational Shayari In English - Kamyabi Shayari
Best Motivational Shayari In English

Maazi badal nahi sakta, par haal
aur mustaqbil aaj bhi hamari mutthi mein hain.

Jeetne ka maza tabhi aata hai jab,
sabhi aapke haarne ka intezaar kar rahe ho.

Yehi junoon, yehi khwab mera hai,
Wahan charagh jala do, jahan andhera hai.

Khud ko bikharne mat dena kabhi kisi haal mein,
log gire hue makan ki eent tak le jaate hain.

Haar nahin maanna, kaamyabi tak ka raasta
hamesha mushkil hota hai.

Jahan par talluq barqarar rakhna ho
wahan alfaaz par ghaur karna chhod do.

Manjilen chahe kitni hi oonchi kyu na hon
Raaste hamesha pairon ke neeche hi hote hain.

Jab tak aap apni himmat nahin haarenge
aap ko koi shikast nahin de sakta.

Uski kadar karne mein der mat karna,
jo is daur mein bhi tumhe waqt deta hai.

2 Lines Motivational Shayari

Azeem kaam karne ka waheed tareeqa yeh hai
ke aap jo karte hain us se muhabbat karein.

Agar aap chahte ho ke aap ke khwab sach hon
to pehle aap ko jaagna hoga.

Log peeth peeche badbada rahe hain
lagta hai hum sahi raste ja rahe hain.

Kitni bhi shiddat se rishta nibhao,
dikhane wale apni auqaat dikha hi dete hain.

Ghadi ko dekhna chhorr dein
us ki tarah har waqt kaam karein.

Waqt gehre samundar mein gira hua moti hai
jis ka dobaar milna na mumkin hai.

Yeh aham nahin hai ke hum kya karte hain
jitna aham yeh hai ke yeh kyu karte hain.

Waqt, aitbaar, aur izzat aise parinday hain
jo ud jaayein to wapas nahin aate.

Life Motivational Shayari in English

Life Motivational shayari about the value of time, with an alarm clock and fitness silhouette
Life Motivational shayari In English

Dubna parta hai ubharnay se pehle
gharoob honay ka matlub zawaal nahi hota.

Roshni ki umeed rakho magar
umeedon par zindagi mat guzaro.

Zamana wafadar nahi to phir kya hua,
dhokebaz bhi to hamesha apne hi hote hain.

Jin mein tanha chalne ke hoslay hote hain,
ek din unhi ke peeche qafle hote hain.

Kamiyab log apne faislon se duniya badal dete hain
aur kamzor log duniya ke dar se apne faislay badal dete hain.

Zindagi mein har mauqa se faida uthao
lekin kisi ke bharose aur jazbaat ka nahin.

Aap musbat zindagi aur manfi zehen nahin rakh sakte.
Sab se aham cheez musbat rehna hai.

Thak kar baitha hoon haar kar nahi
sirf baazi haath se nikli hai zindagi nahin.

Zindagi mein jis maqam par bhi pahucho
apna purana maqam na bhoolo.

Saath to zindagi bhi chhor deti hai
phir logon se shikayat kaisi.

Farewell Motivational Shayari

Jin ke paas dene ke liye mohabbat ke siwa kuch nahi hota,
unko jeenay ke liye dard ke siwa kuch nahi milta.

Do cheezen yaad rakhein: jab aap naraz hon to faislay na karein
aur jab aap khush hon to waaday na karein.

Shuru karne ka tareeqa yeh hai
ke baat karna chhorr dein aur karna shuru karein.

Aaiye ab apna mustaqbil banayen
aur apne khwabon ko kal ki haqeeqat banayen.

Motivational Shayari By Rahat Indori

Rahat indori motivational lines about rising after falling, on a black and gold abstract background.

Koshish karne walon ki kabhi haar nahi hoti,
safalta milne tak rukna nahi hota.

Rahat Indori! Umeedon ki dor kabhi mat chhodo,
tum chalo to manzil khud ba khud aayegi.

Hum cheezon ko is tarah nahin dekhte jaise woh hain
Hum unhein usi tarah dekhte hain jaise hum hain.

Tum apne hosle ki haden badhao,
fir dekho ye duniya kis kadar jhukti hai.

Manzilon se gumrah bhi kar dete hain log
har kisi se raasta poocha nahin karte.

Door tak chalna hai to kabhi mat rukna,
Rahat ki zubaan se bas itna sun lena.

Hamesha aise shakhs ko chuna karo jo aap ko izzat de
izzat mohabbat se kahin zyada khaas hoti hai.

Yahi jazba raha to mushkilon ka hal bhi niklega,
zameen banjar hui to kya wahiin se jal bhi niklega.

Na ho mayoos na ghabra andheron se mere saathi,
Inhi raaton ke daaman se sunahra kal bhi niklega.

Indori, Waqt ki kadar karo, ye kabhi nahi rukta,
jo beet gaya use bhoolo, aage badho.

Success Motivational Shayari for Students

Success motivational shayari about controlling the present and future, with a man running along the beach during sunset.

Khud ko pehchano, apni taqat ko jano
Aapne khwabon ko pakro.

Khud ko itna kamzor mat hone do,
ki tumhe kisi ke ehsaan ki zarurat ho.

Mujhe nahi pata main kya hoon,
kyunki, logon ne mera theka le rakha hai.

Lakho thokaron ke baad bhi sambhalta rahunga
gir kar phir se uthunga aur chalta rahunga

Lahron se dar kar noka par nahi hoti,
Koshish karne walon ki haar nahi hoti.

Jab chal pade ho safar ko to phir hosla rakho
Sehra kahin, kahin pe samandar bhi aayenge.

Zindagi bhi use hi aazmaati hai,
jo har mod par chalna jaanta ho.

Agar tum sooraj ki tarah chamakna chahte ho to
pehle sooraj ki tarah jalna seekho.

Nakaam hona mushkil hai, lekin is se bhi badtar hai
ke kabhi kaamyab hone ki koshish na ki jaye.

Kaamyabi aam tor par un logon ko milti hai
jo is ki talaash mein bohat masroof hote hain.

Puri duniya nafraton mein jal rahi hai,
phir bhi jaane kaise thand lag rahi hai.

Top Kamyabi Shayari In English

Mehnat itni khamoshi se karo
ke tumhari kamiyabi shor macha de.

Main be-tabi aur tawanai se bhara hua hoon
yeh jaanta hoon ke mere saamne kya kaamyabi hai.

Main apni kaamyabi ko us se mansoob karta hoon
maine kabhi koi uzr nahin diya aur na hi liya hai.

Apna chehra hamesha dhoop ki taraf rakhein
aur saaye aap ke peeche pad jaayenge.

Main ne zamane se woh kuch seekha hai
jo mere walidain mujhe na sikha sake.

Waqt to waqt par badalta hai
insaan to kisi bhi waqt badal jata hai.

Yeh jo dil mein qayam karte hain
yehi to jeena haraam karte hain.

Kis liye dekhti ho aaina
tum to khud se bhi khoobsurat ho.

Maamla thoda sangeen hai
yahan har koi rangeen hai.

Matlabi nahi main bas door ho gaya hoon,
un logon se jinhe meri kadar nahi.

Powerful Motivational Quotes In English

Agar kisi ki madad karne par aap badle ki umeed bhi rakh rahe hain
to aap karobar kar rahe hain, ehsaas nahin.

Takleef akelepan se nahin, andar ke shor se hai.

Yoon zameen par baithkar kyun aasman dekhta hai
pankhon ko khol, zamaana sirf udaan dekhta hai.

Paani mein girne se kisi ki maut nahi hoti,
maut tab hoti hai jab tairna nahi aata.

Kisi ke pairon mein gir kar pratishtha pane ke badle
apne pairon par chal kar kuch banne ki thaan lo.

Abhi to is baaz ki asli udaan baaki hai
Abhi to is parinde ka imtihaan baaki hai.

Sangharsh insaan ko mazboot banata hai
Phir chahe woh kitna bhi kamzor kyon na ho.

Beete waqt ka chowkidar na ban
is lamhe ka qarz ada kar.

Negativity ek aisi bhayanak bimari hai,
jo zinda insaan ko murda bana deti hai.

Kinara na mile to koi baat nahi,
doosron ko doobake mujhe tairna nahi hai.

Zindagi mein tapish kitni bhi ho kabhi hataash mat hona
kyunki dhoop kitni bhi tez ho samundar kabhi sookha nahi karte.

Sad Motivational Status Shayari

Na ho mayoos na ghabra andheron se mere saathi,
Inhi raaton ke daaman se sunahra kal bhi niklega.

Khwab kya dekhein thakay haare log
aise sote hain ke mar jaate hain.

Log aapse nahi,
aapki status se haath milate hain.

Bharosa jitna keemti hota hai,
dhokha utna hi mehnga ho jata hai.

Jo tumhari khushi ke liye apni khushi khatam kar de
aise rishtay ko kabhi khatam hone mat dena.

Dhoondo ge ujray rishton mein wafa ke khazane
tum mere baad mere naam walon ko bhi salaam karo ge.

Jo log mujhe pasand karte hain unka shukriya
jo nahin karte, qasmein mainu takkay di parwah nahin.

Apne jameer ki awaaz par labbaik keh kar tanha reh jana
kisi gumrah hujoom ke peeche chalne se bohat behtar ha.

Bohat hi kam log aise hote hain
jin ki seerat aur soorat dono hi achhi hon.

Bohat mehngi padti hai woh mohabbat
jahan khud ko sasta kar diya jaye.

Tera ghuroor tujhe hi harega
main kya hoon tujhe waqt batayega.

Khyaal rakhein yeh zindagi do dafa aap ko
ek mukhlis mard se nahin nawazegi.

Har dil ke muqaddar mein mohabbat nahin hoti
har shakhs se har shakhs wafa bhi nahin karta.

Duniya ke log bade zalim hain,
wo tumhare dukh, dard ro ro kar poochhenge.

Mere chup rehne se naraz na hua karo
darasal khoobsurat log kam bola karte hain.

Two Line Shayari for Motivation in Roman English

Is dard bhari duniya mein kaun kis ka hota hai
dhoka wahi deta hai jis par bharosa hota hai.

Sirf sukoon dhoondhiye
zaruratein kabhi khatam nahin hongi.

Pyar ke do meethe bol se kharid lo mujhe,
daulat dikhai to saare jahan ki kam padegi.

Jab bewafai saabit ho jaye
to intezaar khud ba khud khatam ho jata hai.

Dil laga ke thukraye huay log hain hum
afsos kijiye, kinara kijiye, sabaq lijiye.

Ek din mujhse lipatkar samay bhi royega,
kahega, tu to banda sahi tha main hi kharab chal raha tha.

Zindagi to bewafa hai ek din thukraye gi,
maut mehbooba hai apne saath lekar jaaye gi.

Self Motivation Shayari for Youth

Emaandari ek mehnga shauq hai
jo har kisi ke bas ki baat nahi hai.

Bharosa jitna keemti hota hai,
dhokha utna hi mehnga ho jata hai.

Kabhi nam na ho paayein ghar ke buzurgon ki aankhen,
chhat se paani tapke to deewarein kamzor hoti hain.

Machhliyan bhi khush ho gayi ye jaan kar,
ki aadmi hi aadmi ko jaal mein fasane laga hai.

Aap saal badalte dekh rahe hain,
maine saal bhar logon ko badalte dekha hai.

Kuch ghaltion ko maaf karna hi
sab se badi galti hoti hai.

Jhuk ke jo aap se milta hoga,
yaqeenan uska qad aapse ooncha hoga.

Thokar wahi shakhs khata hai
jo raste ka pathar nahi uthata hai.

Andaaze se na naapiyen kisi ki hasti ko,
thahre hue darya aksar gehre hote hain.

Mann ka jhukna bahut zaruri hai,
matra sar jhukne se Parmatma nahi milte.

Samundar ko ghamand tha ke woh poori duniya ko dooba sakta hai
itne mein ek tel ki boond aayi aur uspar tair kar nikal gayi.

Jawad Khan

I’m Jawad Khan, the creator and author of Shayaritou. I’ve always had a deep love for words and emotions, and through poetry, I aim to express the feelings we all experience but sometimes can't put into words. My work focuses on themes of love, loss, loneliness, and the beauty of simple emotions. Through my writing, I hope to connect with people, offering comfort and understanding to those who may feel alone or misunderstood.

Leave a Reply