Zindagi shayari in English is a way to express the feelings and emotions we go through in life. It helps us share our joys, sadness, struggles, funny moments and dreams in a simple yet beautiful way. Shayari uses words to show what is in our hearts and minds, whether it’s about love, pain, or hope. It connects with everyone because life is something we all understand, and shayari makes it easy to talk about things that are hard to say.
Through Zindagi shayari in English, we learn that it’s okay to feel different emotions. It can make us feel better when we’re sad or give us strength when we’re facing challenges. Shayari also reminds us that we are not alone in our journey, and there is always someone who understands how we feel.
Table of Contents
ToggleZindagi Shayari in English

Kahan jayein ge hum tujhe chhod kar
Tere bina raat nahi guzarti, zindagi kya guzre gi.
Tum paas the humare, yeh hum saath the tumhare
Woh zindagi ke kuch pal, yeh zindagi thi kuch pal.
Zindagi, tujh par bohot ghour kiya maine
Tu rangeen khayalon ke siwa kuch bhi nahi.
Ab samajh lete hain meetha lafz ki karwahatain
Ho gaya hai zindagi ka tajurba thoda bohot.
Koi sulah kara de zindagi ki uljhon se
Bari talab hai humein bhi aaj muskurane ki.
Doobi hoon zeher mein par pee nahi rahi
Main zindagi ko seh rahi hoon par jee nahi rahi.
Milega kya dilon mein nafratein rakh kar
Bari mukhtasir si hai zindagi, muskurake mila karo.
Zindagi mein aise bhi maqam aaye
Na diya saath apno ne, na ghair kaam aaye.
Zindagi ke daur mein tajurba kaccha hi reh gaya
Hum seekh na paaye fareb aur dil bachha hi reh gaya.
Mile na phool to kaanton se dosti kar li
Is tarah se basar zindagi kar li.
Bachpan ki ek ghalat fahmi yeh bhi thi
Ke baday ho kar zindagi dilkash ho jaayegi.
Zindagi jeeni hai to aage dekhein
Zindagi ko samajhna hai to peeche dekhein.
Padhi hain yun to kitaabein hazaaron magar
Haqeeqat mein jo sabaq mile apni zindagi se mile.
Sad Shayari in English for Life

Zindagi mein badi siddat se nibhao apna kirdar
Ki parda girne ke baad bhi taliya bajti rahe.
Zindagi kis tarah basar hogi
Dil nahi lag raha mohabbat mein.
Zindagi wahi hai jo jee rahe hain,
Yeh karenge, woh karenge, yeh to khwab hai.
Ji lo is zindagi ka har pal is tarah
Jaise bas yahi zindagi ka sabse haseen pal hai.
Khushiyon se naraz hai meri zindagi,
Pal do pal ki mehmaan hai meri zindagi.
Mere zakhmon ka ilaaj kuch nahi,
Bas mujhse hi pareshan hai meri zindagi.
Guzri hui zindagi ko kabhi yaad na kar,
Taqdeer mein jo likha hai uski fariyaad na kar.
Ajeeb tarah se guzar rahi hai zindagi,
Socha kuch, kiya kuch hua kuch aur mila kuch.
Zindagi zakhmon se bhari hai,
Waqt ko marham banana seekh lo.
Lamho ki khuli kitaab hai zindagi,
Khyaalon aur saanson ka hisaab hai zindagi.
Haarna to maut ke saamne hai,
Philhaal zindagi se jeetna seekh lo.
Apni zindagi mein hamesha aise logon ko pasand karo
Jinka dil chehre se zyada khhoobsurat ho.
Zindagi Shayari in English for Girls

Awaaz de ke chup gayi har baar zindagi
Hum aise saada dil the ke har baar aa gaye.
Mujhe zindagi ka itna tajruba to nahi hai doston
Par log kehte hain yahaan saadgi se kattī nahi.
Zindagi bhi kitni ajeeb hoti hai
Kabhi doobte sooraj ki tarah, kabhi chamakte chaand ki tarah.
Jo log jitne meetha hotay hain
Zindagi unka itna hi karwa imtihan leti hai.
Bina dhaage ke sooi ban gayi hai zindagi
Guzarti nahi mujh se, bas chubhti ja rahi hai.
Jo maangte hain duaain umar daraaz ki
Unhein bata do ke jeena koi mazaq nahi.
Itne ghour se na dekh meri haal zindagi ko
Bikhre hue log aksar usi haal mein hote hain.
Roz rote hue kehti hai zindagi mujh se
Sirf ek shakhs ki khatir mujhe barbaad na kar.
Zindagi chhoti si hoti hai
Magar ismein bhi log jeene nahi dete.
Tamaam umar tujhe zindagi ka pyaar mile
Khuda kare ke khushi tum ko baar baar mile.
Taqazay khatam hotay hi nahi hain zindagani ke
Kabhi aisa zaroori hai, kabhi waisa zaroori hai.
2 Line Life Shayari in English
Badal denge apni zindagi is tarah
Deedaar to door, log baat karne ko bhi tarsenge.
Hai duniya tera kya kya na tamaasha dekha
Zindagi ko maut ke saaye mein bhi palte dekha.
Tere pyaar se hai zindagi mein raunak
Isi liye apni nahi, teri zindagi ki dua karte hain.
Ab meri koi zindagi hi nahi
Ab bhi tum meri zindagi ho kya.
Ae giriya zaar zindagi, kuch der maazrat
Mera bhi dil kiya hai zara muskaraoon main.
Waqt badal deta hai zindagi ke sabhi rang
Koi chaah ke apne liye udaasi nahi chunta.
Life Emotional Shayari in English

Ishq ke is bazaar mein hum apni naqd haar gaye
Gham haarne ka nahi hai magar hum to umeed bhi haar gaye.
Zindagi ki haqeeqat ko bas itna hi jaana hai
Dard mein akele hain aur khushiyon mein zamaana hai.
Tere jaate hi mujh ko ehsaas hua jaana
Yeh zindagi kitni thodi hai mohabbat ke liye.
Waqt badal deta hai zindagi ke sabhi rang
Koi chaah ke apne liye udaasi nahi chunta.
Zindagi se humein koi shikayat nahi sahib
Usne jo bhi diya shayad woh meri qismat mein tha.
Khatam tha hum pe mohabbat ka tamaasha goya
Rooh aur jism ko har roz juda karte hain.
Zindagi hum se tere naaz uthaye na gaye
Saans lene ki faqat rasam ada karte hain.
Woh hijr hi kya jo tujhe rool na de
Woh duniya hi kya jo tujhe fareb na de.
Ab tu jeene nikla hai to zara mohtaat rahiyo!
Kahin ishq tujhe sar-e-bazaar bech na de.
Mujhe yaqeen tha umeed tootegi meri
Magar gumaan tha ke woh bharam rakh hi na le.
Zindagi khawari ka naam hi hai tabsum!
Na soch ke tujhe aabaad kar hi na de.
New Life Shayari In English

Chhoti si zindagi ne bara sabaq diya
Rishte sab se rakho, umeed srif allah se.
Kitna mushkil hai zindagi ka ye safar
Khuda ne marna haraam kiya, logon ne jeena.
Zindagi kitna pareshan kiya hai
Ye kisi ko to batana padega hi.
Humse mat puchiye zindagi ke baare mein
Ajnabi kya jaane ajnabi ke baare mein.
Le de ke apne paas faqat ek nazar to hai
Kyun dekhen zindagi ko kisi ki nazar se hum.
Nafrat si hone lagi hai is safar se ab
Zindagi kahin to pohchaa de khatam hone se pehle.
Ek pehchaan hazaaron mitr bana deti hai
Ek muskurahat hazaaron dukh bhula deti hai.
Jab bhi suljhana chaaha, zindagi ke sawaalon ko maine
Har ek sawaal mein zindagi meri uljhti chali gayi.
Kuch umeedein, kuch sapne, kuch mahakti yaadein
Jeene ka main itna hi samaan bacha paaya hoon.
Zamaane mein hum bade khush naseeb hain,
Woh saaye ki tarah mere qareeb hain.
Roz qatl hota hai dil teri adaon se,
Tujhe dekhne wale log bade ajeeb hain.
Zindagi (Life) Quotes in English
“Life isn’t about waiting for the storm to pass, it’s about learning to dance in the rain.”
“The best way to predict your future is to create it.” — Abraham Lincoln
“In the end, we only regret the chances we didn’t take.”
“Happiness is not something ready-made. It comes from your own actions.” — Dalai Lama
“Don’t watch the clock; do what it does. Keep going.” — Sam Levenson
“Life is what happens when you’re busy making other plans.” — John Lennon
“Your time is limited, so don’t waste it living someone else’s life.” — Steve Jobs
“The only way to do great work is to love what you do.” — Steve Jobs
“It does not matter how slowly you go as long as you do not stop.” — Confucius
“Believe you can and you’re halfway there.” — Theodore Roosevelt
“Success is not the key to happiness. Happiness is the key to success.” — Albert Schweitzer
“The journey of a thousand miles begins with one step.” — Lao Tzu
“Every day is a new beginning. Take a deep breath, smile, and start again.”
“Don’t let yesterday take up too much of today.” — Will Rogers
“Life is 10% what happens to us and 90% how we react to it.” — Charles R. Swindoll
Attitude Zindagi Shayari in English
Zindagi apni guzr jaayegi aaram ke saath
Ab mera naam bhi aayega tere naam ke saath.
Main tere saath chalunga tera saaya ban kar
Meri har subah rahegi teri har shaam ke saath.
Apne seene mein basa le mujhe dhadkan ki tarah
Ke mera dil bhi hai shaamil mere paighaam ke saath.
Tujh se paayi hai tere pyaar ki masti maine
Umr bhar pyaas bujhaunga usi jaam ke saath.
Le ke aayengi bahaarein tere daaman ki hawa
Phool mehekenge tere aarz-e-gulfam ke saath.
Zindagi mein kuch khatm hona zaroori hota hai
kuch naya shuru karne ke liye.
Patton ki tarah shaakh pe marna pada mujhe
Mausam ke saath saath guzarna pada mujhe
Ek shakhs ke sulook ki sab ko saza mili
Saari mohabbaton se mukarna pada mujhe
Usse bichad ke zindagi aasaan to nahi
Phir bhi yeh talkh faisla karna pada mujhe
Kuch din to main chataan ki soorat ditta raha
Phir reezah reezah ho ke, bikhurna pada mujhe.
Aasaan nahi tha, toot’ti saanson ko jorna
Is silsile mein jaan se guzarna pada mujhe.